E-Sim Wiki
Advertisement
Food

Khana (Food) istemaal hota hai apni taqat wapis lanay ke liye. Aap roz 10 rotiyan kha saktay hain ager aapke paas ghar (house) nhi hai, ager apkay paas Q5 Ghar hai to aap roz ki 15 rotiyan kha saktay hain. Aik roti apki taqat 10 - 50 tak wapis la sakti hai, ager aap Q1 Roti khatay hain to apki taqat 10 se barhay gi, issi tarhan jitni bari Q ki roti aap khain ge utni taqat apko milay gi her roti per ( Q1, Q2, Q3, Q4 or Q5 ). Kahana banaya jaata hai khanay ki companies main aur yeh bananay ki liye Anaaj ([Grain|Grain]) ki zarurat parhti hai


Khana Khreedna[]

Jab aap naya account banatay hain toh apko, 10 Q1 khana aur 10 Q1 tohfay muft main milay gain, Jab aap unko ghain ge to apko neechay diye gain tareeqay batain jain ge jiss se aap jhana aur tohfay khreed saktay hain:


Company[]

  1. Khanay ki company banain aur uss main Anaaj khreedkay istemaal karain
  2. Khana Product Market se khreedain

Market[]

Market se khana khreednay ke liye neechay diye gai tareeqay istemaal karain

Market » Product Market » Khanay ki tasweer pe dabain » Khanay ki kefiyat (Q) chunain aur dabain "View offers" » uss ke baad jitna aapko chahiye hain utna khreed lain

Advertisement