E-Sim Wiki
Advertisement

Company[]

Companies e-sim ke ander istemal hoti hain alag alag istemaalaat ki cheezain bananay ke liye, woh cheezain tab banti hain jab uske workers kaam kertay hain

Ager aap apni company ko achi tarhan se chalatay hain toh aap kaafi pesay bana saktay hain

Ager app company banana chahtay hain to aap yah to market se khreed saktay company market

Companies for sale


Ya aap usko khud bana saktay hain apni pasandida jaga pe create


Create company

:Tashreeh

  1. Aap company ka naam bana saktay hain (Gaaliyan ya kisi kisam ka lafz jo kisi ko takleef pohnchai woh istemal kerna mana hai)
  2. chunnain jis tarhan ki company banana chahtay hain
  3. Company ki koi tasveer lagain apnay computer se upload ker ke
  4. Dekhain konsay mulk aur uss ke shehar main banana chahtay hain

Mazrat se zara Bar Awari Productivity formula ka formula dekh liye ga kuch kernay se pehlay takay apki company nuqsan main na jai

Amomi Rules Zvitek[]

  • Jitne kam log kaam karain ge her din, utni zyadah apki bar awari ho gi
  • Companies ke kefiyat level hain Q1 se Q5. Jitni unchi kefiyat ho gi company ki utne zyadah ya achay products woh banai gi, magar woh mehngay hon ge
  • Aap aik se zyadah companies bana saktay hain
  • Companies ko khreeda yah becha ja sakta hai market main
  • Do tarhan ki companies hoti hain:
    • Kacha Material Companies - Jo kacha material banati hai (Iron etc)
    • Manufacturing Companies - Jo istemal shuda cheezain banati hain kacha material istemal ke kay. Ager company ke paas kachay material 20 cheezain bananay ke liye hain aur naukar 40 bana sakta hai, toh phir woh kaam nhi ker pai ga jab tak kacha material aur na aai
  • Zabardast bar awari kachay materials ke liye ho sakti hai ager company aik aise soobay main hai jahan uski material ki paidaish bohat zyadah hai
  • Zabardast bar awari Manufacturing ke liye wahan ho sakti hai jahan uske bananay wali cheez zyadah ho, jesay ([Iron] banata hai weapons)
  • Bar awari apki company ki inhisaar kerti hai uss mulk ke Capital pe jahan apki company hai, ager koi aur mulk apki company ke mulk ke capital pe kamza kerta hai to bar awari 20% kam ho jaigi
  • Apki dekhan rakhna ho ga apnay area ki abaadi pe aur wahan ki tankhaon pe ager app wahan apni company banana chahtay hain


File:Company RAW2.png

Madatti Isharay:

  • Apni company start karain jab aapke paas usko chalanay ke paise aur sonah (gold) ho
  • Yaad rakhiye ga ke apke paas zaroriat ke mutabik yah phir uss se zyadah kachay materials hon
  • Yaad rakhiye ga ke apke paas kaafi paise hon takay aap apnay naukeron ko tankhwa de sakain
  • Khreedain/Banai kacha material company sirf High region main!
  • Apko apni product company bhi High regions (soubon) main he banani chahiye hai. (Iss tarhan ager apka mulk apnay woh sooba haar jata hai toh apki bar awari itni kam nhi ho gi

Company Keemat[]

Quality Upgrade cost Total cost
Q1 20Gold 20Gold
Q2 20Gold 40Gold
Q3 50Gold 90Gold
Q4 100Gold 190Gold
Q5 200Gold 390Gold

Kisi company ki quality giranay say apko sirf 75% sonah (gold) wapis millay gay, ager aapne 100G istemal kiya hai toh apko wapis 75G mille ga. Aap apni company ko puri tarhan se mitta nhi saktay

Advertisement